Monday, June 2, 2014

Jahan - Universe

Seeing this Cosmos Series on National GeoGraphic Channel..
I felt such feelings......


Usne itna hi dekha Jahan me
Wah utna dekha, iss Jahan me
Dekhne ka nazariya hai,tabhi to
kadardan dhundhte iss jahan me

Dekh ke yeh kayanaat
Kaya nahi lagta kisi ne banaya hai
Kaise kah deta aaj ka manav
Bas apne aap banta chala gaya hai

Bananewale ko kuchh gam nahi
Kyonki banate rahna uska karm hai
Usne manav ko bhi to banaya
Wo kaya kare ab, Manav me budhi kam hai

Budhi wah Rab nahi banata
Kyonki gyan bhi wah nahi banata
Budhi aur gyan to manav ka hai
Kyonki wah kewal banana janata

Sachmuch dekh ke ye kayanat
Lagta hai wah sahi me banaya
Yeh rachna agar na racha hota
To aaj kaya, mai ya tu, ye likhta

Banakar wah kahi chhup nahi gaya
Anwarat banata-chalata ja raha hai
Hume panchkarm ke uljhan me Daal
Niranantar uljhata-suljhata raha hai

Kabhi Mrignaini ke payar me
Kabhi Mrigtrishna ke talash me
Kabhi aakash me,kabhi patal me
Bas khojta nahi manav apne Dil me

Dil bhi kaya banaya, haar-maans ka
Dil hota tab to milta iss sharir me
Dil to kho gaya duniya ke jaal me
Kyonki chalana hai Duniya,is Dil me

Yahi to uljhan hai,kabhi suljhan hai
Tabhi to gata aur gungunata, khud me
Mrignani tere payar me,lut gaya bazar me
Ab tu rakhe ya sambhale,ya bech de sansar me

Mrignani tere payar me....



No comments:

Post a Comment