Kyon pather dil ho chala
-------------------------
Mere chand ko dekho
Mrignaini aankho se
Ruth ke kahi dur chala
Dekh lu isse apne aankho se
Dekho pather dil ho chala
Kyon pather dil ho chala
Khoobsurti unme nahi
Hai to wah bas manav sa
Khoobsurti to mujhe me hai
Unhe dekhne ki
So manav-murti gadhne chala
Aur wah bhi pather dil ho chala
Kyon pather dil ho chala
Na din dikhta, na raat dikhte
Subah sham bas chand hi chand
Iss tarpan se achha hota
De diya hota maut mand-mand
Kyon aisa na karke bas dur chala
Kyon pather dil ho chala
Kyon pather dil ho chala
Achha hota mai unsa hota
Mai bhi galti kar hi leta
Aur Nahi tarpata manav sa aaj
Thori dur to chal hi leta
Par Gyan ke iss Maryada ne
Mrignani pather se dur chala
Kyon pather dil ho chala
Agar duniya ka bhan hota
khoya rahta iss duniya me
safalta ke daur me hota
nahi parta aatma ke chakkar me
Par aatm-gyan ne aatm-dil se
Muskurate duniya se dur chala
Kyon pather dil ho chala
Ab yeh tarpan hai bahut dard me
Muskurana bhi bhul chala
Aaj ke iss bhagte-daur me
Duniya se hu dur chala
Koi kahe uss pather dil se
De de dhakka, mujhe chala
Kyon wah pather dil ho chala
Kyon pather dil ho chala....
-------------------------
Mere chand ko dekho
Mrignaini aankho se
Ruth ke kahi dur chala
Dekh lu isse apne aankho se
Dekho pather dil ho chala
Kyon pather dil ho chala
Khoobsurti unme nahi
Hai to wah bas manav sa
Khoobsurti to mujhe me hai
Unhe dekhne ki
So manav-murti gadhne chala
Aur wah bhi pather dil ho chala
Kyon pather dil ho chala
Na din dikhta, na raat dikhte
Subah sham bas chand hi chand
Iss tarpan se achha hota
De diya hota maut mand-mand
Kyon aisa na karke bas dur chala
Kyon pather dil ho chala
Kyon pather dil ho chala
Achha hota mai unsa hota
Mai bhi galti kar hi leta
Aur Nahi tarpata manav sa aaj
Thori dur to chal hi leta
Par Gyan ke iss Maryada ne
Mrignani pather se dur chala
Kyon pather dil ho chala
Agar duniya ka bhan hota
khoya rahta iss duniya me
safalta ke daur me hota
nahi parta aatma ke chakkar me
Par aatm-gyan ne aatm-dil se
Muskurate duniya se dur chala
Kyon pather dil ho chala
Ab yeh tarpan hai bahut dard me
Muskurana bhi bhul chala
Aaj ke iss bhagte-daur me
Duniya se hu dur chala
Koi kahe uss pather dil se
De de dhakka, mujhe chala
Kyon wah pather dil ho chala
Kyon pather dil ho chala....

No comments:
Post a Comment