Thursday, May 15, 2014

chand kho gaya baharo me

Baharo ke bich kho gaya hai
Chand sabkuch bhulkar
Likha hu khat, hu intazar me
Par aaya nahi abhitak uttar

Kisko bula raha hai wo
Apne gali me nimantran dekar
Mai likha unhe
Par aaya nahi hai koi uttar

Shayad kisi aur ko
bula rahe hai ishhara kar
Mujhe agar bulana hota
To bhej diya hota uttar

Raat bhar chand jagta hai
Baharo ka maja lekar
Hume bhi agar sath le leta
Kaya kam ho jata, ye sochkar

Phir bhi mujhe chand
Achha lagta, chahta use ji bharkar
Mangta dua khuda se
Ki wo ji le harpal khush hokar


No comments:

Post a Comment