Saturday, March 22, 2014

Raaste ke pather

Raaste ke pather,milo ke pather ho gaye
Tum jo aaye zindgi me ek more aa gaye

Zindgi to chal rahi thi dhumketu ki tarah
Tumhe dekha jo chalte tere sang ho liye

Tum jo aaye zindgi me ek parav chal liye

Kabhi chhan-chhan kabhi madhur-man 
Sab raag-sangeet me apne ko gunguna liye

Tum jo aaye zindgi me ek geet gunguna liye

Kabhi gun-dhun kabhi gum-shum mahul me
Bas Apna mahul bana liye, tere sang ho liye

Tum jo aaye zindgi me bas ek mahul jor liye

Puchha bhi nahi ki tumhe jana kidher hai
Sab chalte bas apna chaal, bas hum chal liye

Tum jo aaye zindgi me bas ek chaal chal liye

Tum sochte bahut the, parkhte bhi bahut the
Jauhri ki tarah, mujhe bhi pather samjh fek diye

Tum jo aaye zindgi me, bas ek pather jor liye



1 comment:

  1. सुन्दर प्रयास है। कविताओं को रोमन लिपि के बजाय देवनागरी में लिखना बेहतर होगा।

    ReplyDelete